Ik aarzoo hai..........

Ik aarzoo hai, puri parwrdigar kare,
Mein dair say jaon wo mera intezar kare,
Apne hathon say sanwarun zulfein uski,
Wo sharma ker mohabbat ka iqrar kare,
Lipat jay mujhse aalm-madhoshi mein,
Or josh e janum mein mohabaat ka izhar kare,
Ho shab-e-wisal ya RAB!,
Kya bheegi zulfon say mujhe bedaar kare,
Jab use chor ke jana chahun,
Wo rake or ik raat ka israr kare,
Kasam Khuda ki main kisi or ki ho nahi sakti,
Ye wada-e-wafa wo bar bar kare…

A moja-e-hawa tu hi bata........

A moja-e-hawa tu hi bata,
Wo dost hamra kaisa hai?
Jo bhool chuka hai hume kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai,
Kya us k jeewan lamho mein,
Koi lamha mera bhi hai,
Kya us ki jaagti aankhiyo mein,
Hamari yaad ab b baaqi hai,
Hain aasha nahi to,
Tu hi bata,
Hum yad usey kyo karte hai,
Wo hum se bichad kar khush hain,
Agar,
To pal pal hum q marte hai,
A moja-e-hawa tu hi bata......