Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan……..
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai……..
Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai……..
Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya………
Ishq Ne hame Benam kar Diya,
Har Khushi se Anjan Kar diya,
Hamne Khbhi Nahi chaha Ki Hame Ishq Hu,
Par unki Ek Nazr ne Hume Nilam Kar Diya.......
Kash Ye Zindagi Haseen Hoti,
Khud ke chahne se har dua kabool Hoti,
Kehne ke liye tu sabhi apne hain,
Par Kash Koi Aisa Hota,
Jise Mere Dard se Bhi Takleef Hoti.....